Manqabat Hazrat Imam Husain | Islamic Wallpapers | Islamic Images | Islamic Gallery | Tehseeni Foundation
📞 WhatsApp: 7417998845
📍 Bareilly, Uttar Pradesh
Manqabat Hazrat Imam Husain

Manqabat Hazrat Imam Husain

📅 23 Jun 2026
Manqabat Hazrat Sayyiduna Imam Husain

Nana se karke waada nibhaaya Husain ne
Islam ka waqar barhaya Husain ne

Zulmat ke har hisaar ko dahaaya jalaal se
Batil ka saara zor ghataaya Husain ne

Ummat ko de ke sabr-o-raza aur wafa ka dars
Jeene ka ik qareena sikhaya Husain ne

Mehraabe Ishq Me Jo Ada Ki Namaaze Haq
Sajde Ko Auj e Arsh Pe Laya Husain Ne

Har daur ke Yazid se khulkar kahnege hum
Sar de ke deen-e-haq ko bachaya Husain ne

Batil ke saamne na jhuka ek pal bhi sar
Aisa buland sar ko uthaya Husain ne

Tauheed Karbala ka ye roshan hai mojiza
Batil ka taaj khaak banaya Husain ne

By: Tauheed Ahmad Khan Razvi